Hello! Dosto aaj ham baat krne wale hai”Best smart phones buying guide ever” smartphones purchase karte time kis chejo ka vishesh dhyan rakhna hai chahiye .
Smart phones aaj hamre life ek important part ban chuka hai kuki ham smart phones pr itna depend ho chuke hai ki koi bhi kaam ho,smart phones ke bina hota hi nhi hai ,ek side bahut sare iske advantages bhi hai aur dusre side bahut disadvantages bhi hai ,depend on usage.
Tips for buying bests smart phones 📱
Steps 1 Smart phones ek aisa yantra jisse 99,9%log use karte ,chahe wo ek 10th me study krne wala ek balak, ya phir job karne wala ek yuvak ,ho ya phir ek berojgar ho ,sabke haatho smart phones hota hi hota hai.Ab ham jante hai hame smartphones ku chaiye ,basically iska jawab sabhi ka yahi hoga ki entertainment ,study etc aur bhi kaamo ke liye .
Aur ek chej aur apko mai batana chahunga ki smart phones ki jarurat ho tabhi lena aap log ,faltu ka paisa mat waste krna ya phir haa agr apke pass extra paise ho to purchase kar sakte ho aap log ,most askable question is durable or replacement of your smartsphones ? log ye bhi puchte hai hamse smart phones ko kitne saal me badlna chaiye,iska jawab mai apko batata hu ki smart phones basically 2 -3 saal badal dena chahiye ye sab ke liye hai chahe wo students ho ,job karne wala ho ya phir kisi company ka CEO ku na ho sabhi ko itne time me Badal dena chaiye apne smartphones.
Step 2 Smart phones kitne ka purchase karna chahiye?
Smart phones purchasing power apke budget ke puri tarah se depend karti hai lekin ,wo baat alag hai agar aap students ho to zid karke apne parents se lele lete ,wo bhi kai log ki zid aise hoti hai ki unko konsa chahiye haigh demand wale pro max aisa bilkul nhi karna chaiye agar aap ek student ho to apko near about 20,000-22,000 tak ka smart phones best hai apke liye,agar aap job wale ho to mai recommend karunga please don’t spend appni 6 Months ki salary,aap lete bhi ku hai uska reason ye hai kuki EMI mil rha hai 3-4 hazar ka down payment krke utha liya please aisa bilkul mat kariye aap utna hi range ki phone le jitne me kaam chal Jaye basically, phone ek tool hai aur haan wo baat ki baat hai kisi ke shok bhi hai .
Requirement ?
Requirement ka matalab ye hai ki aapko jis cheez ki jarurat hai kya wo iss smart phones me hai for example jaise ki aap ek content creator hai to apko phone ki camera 📸 quality pr jyada focus karna chahiye aap identify kr sakte hai ki apke konsa camera 📸 wala smart phone best rahega apke liye .To aapko apna recruitment dekhna hai ki meri iss phone ko lekar mera requirements ho sakta hai kisi Battery 🔋 health bahut acchi chaiye,kisi ko RAM badhiya chaiye sab log ki apni requirements ho.
Steps 3 Identify software?
Software ko pahchano,kai baar aisa company hardware itna accha dekhti such as uski battery ,itne W ka charger lekin software me bhar bhar ke adds diye pade hai ,aapko ek aisa software wala smart phones choose karna jiske software ki brand value ho ,mai honestly baat karu to market me lagbhag sabhi phones hai jiske software thik-thak hai kuch ko chod kar ,hame aisa smart phones ke software ko choose karna hai jo ki 2 -3 saal aram se chal sake .
At last mai yahi kahna chahta hu app apne kuch part at 10%to 20% hi apne income ke spend karna jo ki sahi tarika agar aap krna chahte to kariye 1,00,000 or 2,00,000 wo apke uper depend krta ,mai to recommend nhi karunga kuki jisse Hamra kaam chal rha hai to chalne dete chaiye agar hamra device thik se chal nhi rha hai hamari requirements fullfill nhi kar rha hai to offcourse badal dena chahiye.
comment aap log jarur bataye ki mera suggestions kaise laga baki kisi aur article me milte tab tak ke liye JAI HIND JAI BHARAT .
Aise pages padene ke liye mere page ko follow karle.If want to know top 5 gaming smartphones click the link below ;
https://ashishguptaallahabadi.com/top-5-gaming-smart-phones-in-20254/
Thank you !
Share with us in the comments your favorite blog posts of all time!
https://ashishguptaallahabadi.com/best-smart-phones-under-30000/
Drop a link to your favorite blog post of yours in the comments below, I’d love to read more.
https://ashishguptaallahabadi.com/best-smart-phones-under-30000/