Stop buying expensive smartphones in 2024

 

Stop buying expensive smartphones in 2024Hame expensive  flexip smart phones nhi kharidna chahiye apne apne dekha hoga ki log EMI pr bhi phone purchase kar lete hain ,Shopowner kahta hai apko koi extra money nhi pay krna padega but aisa nhi wo aapse extra charges le hi lete aur apko pta bhi nhi chalta,yahi same formula banks bhi apply karti hai for example bank aapko 1000 ka loan deti hai return me apse 1010 -1020 charge hi karti hai apne profits ke liye.

Log expensive phone purchase kar ek trap me fas jate , basically hamar physologay ke according human ke ander kisi new object or things ki excitement 15-20 days tak rahti hai aur uske baad bs regret karye hai khud ko ,ki iski EMI 3-4 saal pay karna padega.

Some technology ethics that told you stop buying expensive smart phones;

First ethics; log bolte hai ki best processors wala smart phone lena chahiye lekin nhi ,zara sochiye 1.5lakh ke phone me aap GTA5 khel to sakte nhi bahut uske liye desktop 🖥️ chaiye jo ki uske 1/3rd or 1/4th price me jayega ,ham normally WhatsApp, Facebook, Instagram,Twitter, Pinterest etc yahi basic se chejo ko use karne ke liye karte hai ,ye direct apka waste of money 💰 hi ho rha hai, agar aapko game hi khelna to uske liye alag se phone bane hain  specially gaming ke liye aap usko le sakte. Stop buying expensive smartphones in 2024

2- Ethics second;

log ye bolte ki camera 📸 quality best honi chaiye ,aap 10 MP se uper camera ke phone jisme picture quality better ayegi ,uske liye aap iPhone le rahe ho ,logo se pucha jata hai apne iPhone ku purchase kiya hai ?logo ka reply ata hai mujhe professional photography , videography karni hai ,zara sochiye ek accha sa normal DSLR apko uske 1/3rd price pr mil jayega aur usse better bhi perform bhi karega,this is another point that waste your money 💰 on expensive s smart phones.

Dosto aaj agar aap koi latest iPhone lete ho to jyada se jyada 1 saal tak latest rahega uske company uska second version launch kar dega phir apka latest oldest me badal jayega 😔mai apko yahi suggestions dunga ki apko aone budget or needs  ke according smart phones lena chahiye .

3-ETHICS of battery of smartphones

Premium or expensive phone 📱 me battery ke backup aapko bahut kam dekhne ko milega near about 3,000mAh se le kar 39,00 or 4,000mAh ,wahi another side ham baat kare to apme budget wale phone jo apko deti hai 4,000mAh se lekar 6,000mAh tak battery backup dekhne ko milta hai its also a waste of your money 💰,ek survey ke according pta chala hai agar apki salary ₹1,00,000 itni hai to apko 20,000 ka phone use chahiye.

Nhi ki apki salary 20,000 hai aur aap 2,00,000 ka phone lekar chal rhe ho kewal show-off ke liye,le to lenge aap lekin baad me aap khud regret karenge ki maine 2 lakh waste kar diye uske baad apke EMI dene ke alawa kuch nhi bachega apke pass.

Dosto aapko hamesha yaad rakhna hai ki aap jo bhi apne salary ko spend karenge wo aapke liye assets ka kaam kar rhi hai ya phir laibilities ye aapko behter soch kar tab spend krna chaiye kuki wo apke paise hai apne bahaut mehnat krna kamate aisa to hai nahi ki aap 2 number ka paisa bna rahe ,mai samjh sakta hu ki aap bahut mehnat se paise kamate so please aap apne mehnat se kamaya hue paise ko ek acche jagah investment kariye uske liye best option hai SIP krwana etc aise.

Bahut hi profitable assets jisme aao investment kr sakte hai ye expensive smart phones me investment karna ek waste of money hai,show-off karne ke chakkar me aap gareeb ho jayenge.

read more//ashishguptaallahabadi.com/motorola-new-phone-hello-moto/

https://ashishguptaallahabadi.com/how-you-traped-in-big-billions-

Online Shopping site in India: Shop Online for Mobiles, Books, Watches,  Read more Shoes and More – Amazon.in

Leave a Comment