Top 5 gaming smart phones in 2024 sabse saste aur aapke budget

Top 5 gaming smart phones in 2024 sabse saste aur aapke budget.

Taught tech

Taught tech Aaj hm baat krne wale hai top 5 gaming smart phones in 2024 sabse saste aur apke budget me. Jaisa ki ap log jante hi honge aj kl gaming ka craze itane high level ka ho gya ki iska craze chote-chote bacche se lekar bade-bade yuva me bhi dekhne ko milta hai . Ab  hm baat krte hai ki gaming phone ko kaise choose kare ki wo hamre gaming ke liye bahut hi smooth aur jisme hm bahut easily apne game ko play kr payeChaiye suru karte hain bina apke ek pal ke time ko waste kiye ,sabse pahle hame  ye dekha hai ki gaming phone ke liye battery ka backup bahut jyada accha hona chahiye ,accha nhi bahut accha kuki jitna jyda battery 🔋 backup hoga utna jyda apka game ka experience better hota chala jayega,aur utna hi lambe time tk app game bhi khel paegnge,ab hm dusre quality ki taraf badte hai jo ki gaming phone ke bahut hi jaruri hota hai wo apke smart phone ka processors,hamre game ke quality aur game experience ye depend krta hai apke processors konsa hai ,kuki jitna accha apka processors hoga utne acche se app game ka experience kr payenge aur us game ka pura maza uthange isliye ek acche aur sahi gaming processor ka choose krna thoda difficult hota hai but app ko agr jnna hai konsa gaming processors best hota hai to mai batunga age ,ab chalte apne tisre point ki taraf jo ki hai RAM (Rendom Access Memory) ye RAM jo hota hai na apke  budget pe depend krta kuki jitna expensive phone 📱 hota hai utna hi jyda RAM deti hai company such as 4GB ,6GB,8GB ,32GB etc…Basically RAM hota kya hai aur iski hame game me jarurat ku padti hai pahle hm ye samjh lete hai. Apko mai ek example se samjhta hu jaise ki app ek office me baithe hai aur ek computer 🖥️ pr apna kaam rhe hai ,tabhi apko 3-4 files ke need hui to app gaye apne library or storage room se files nikal kr le kr chale aye ,apne computer 🖥️ wali table pr rakh diya ,apna kaam uski  file ki help se start kr diya 1 files uthai usme me kuch kaam kiya phir 2 files uthai aur kaam suru kr diya aise krke sari file’s se data collect kar  apna kaam krte gaye .Ab hm isse hi  smart phone or computer ke tarike se samjhenge pahle app koi aap use kiya uske baad wo recent tab chala jata hai aur phir jab hame jarurat padi phir use kr lete hai ,isse yah hota hai ki jo apps apke recent tab me app jaha chod kr jate hai wahi se phir start ho jayega agr apka RAM condition accha hai to warna phir se apps apne starting se start ho jata hai.

Uper ke teen point bahut hi important hai jb aap ek gaming phone ko choose krte hai to.

Top 5 gaming smart Phone 📱in 2024 sabse saste,sabse acche apke budget me;

5। ViVO T2 PRO ;
ViVO T2 pro
Vivo T2 pro

ViVo ek aisa naam jiska naam sunte hi hame lagta ye phone selfie lene me bahut hi accha  ,lekin ye sabse alag hai isme , Media Tek 7200 5G (AnTu Tu Slort 72000+) ka processors dekhne ko milta agar iska comparison Qualcamm Snapdragon   870 5G  se kare to ye  equally kaam karta hain ,game facilities 60fps ke braber kaam krta hain aur sath me hame dekhne ko milta hai 8GB RAM ,120Hz refresh rate ke sath Amolded+Display  jisme COD or BGMI kaafi smoothly chalta hai .Ab ham baat karte Hain iske battery ki , 4600mAh iske saath  66W superwast charger jo ki half hour’s full kar dega apke battery 🔋 ko,aur haa apki battery 🔋 near about 3-4gante to chalegi hi.

4 IQ00 Z7 pro

IQ00 Z7 pro is phone ki design bahut badiya hai aur ye kafi rare bhi hain,hame is par bhi Media Tek Dimensity 7200 5G ka processors dekhne ko milta hain exactly jo apke pichle phone me dekhne ko mila tha ,iski designs bahhut hi khubsurat yahi lajawab ,ab ham baat krte battery 🔋 ki to isme bhi waise same hai jasi ki vivo t2 pro me tha 4600mAh ,66W ka fast charger.Is phone gaming experience bahut zabardast accha wala milega apko jaise ki  apko isme 120 Hz ka refresh rate,6.78FHD ka display aur isme curved display so its looking very premium dekhne ko milta hain .Ab ham baat krte hai iske price ki ,jo ki aap agar aap ek acchi deal dekh kr purchase krte hai to ₹21000 near about pad jayega apko.

3) INFINIX Zero 30

Infinix zero 30

INFINIX Zero 30  ye apko kafi badiya designs me dekhne ko milta hai jo ki infinix pahle wale ne  model kafi better designs Banya hai isme aapko dekhne ko milta hain Media Tek Dimensity 8020 ka processors  ye Snapdragon ke previous lauched Qualcomm Snapdragon 888 se better hai,so ye device kafi best performance dega  iske storage ki baat kare to 8GB,256GB aur 12GB  256GB hame dekhne ko milta hai jo ki kafi sahi hain aur is device me 6.78FHD+3D curve  display ,144Hz refresh rate aur saath me hai Gorilla glass protection jo ki kaafi amazing hai apne aap me ,waise iski battery 5000mAh ,88W super fast charger at last ab ham baat karte iski price jo ki abhi time me hai ₹21000 -₹22000 ki range apko mil jayega.

2)  LAVA Agni 5G pro

LAVA AGNI2 5G

LAVA Agni 5G pro isme hai 6.78FHD display aur iska gaming experience bahut hi accha hai na ki gaming me hi overall uses me bhi ,ager ham baat kare iske battery ki to wo hai 4700mAh aur saath me iske 66W superwast charger sath me Media Tek Dimensity7050 ko apke gaming experience me char chand laga dega ,ROM 256GB isse kam varient me ye phone hai hi nahi ab ham baat krte hai price ki to aap proper discount ke sath ye aapko pad jayega ₹20,000 only.

1) POCO X6 pro

Agar aap thoda sa apne budget ko expand kr sakte ho ya phir aap acche deal ka wait kr sakte ho apko thoda mahga padega ₹1000 -₹2000 ,₹25,000se.Poco ke is device me aapko Media Tek Dimensity 8300 Ultra 5G ye list ka sabse badiya processors hai jo ki apko shayad ₹40,000 me bhi dekhne ko na mile aur saath me milega aapko wild boost 2.O jo gaming ko aur bhi jyda enhance kr deta hai ,isme 5000 mAh ki battery hai 67W superwast charger ke sath,6.67Amoled Display,ye phone gaming ke liye bahut hi best hai list sabse top pr hai aur haan apka budget ho to tabhi kuki thoda mahga hai ₹25,000 lekin agar acchi deal dekh apne leli to mil Jayega.

Aapko hamra recommend kaisa laga ,accha laga ho to page ko follow kar lena

JAI HIND JAI BHARAT🇮🇳

Your Greatful Thankyou for readings

Aise hi aur bhi smartphones ke janne liye niche diye hue link tap kare aur knowledge enhanced kare.

https://ashishguptaallahabadi.com/best-smart-phones-buying-guide-ever/

 

by-taught tech

by-taught tech

by-taught tech

by-taught tech

 

 

 

Leave a Comment